Collection of Ghazal

Just another WordPress.com weblog

Dil ka kya hai wo to chaahega musalsal milna May 22, 2008

Filed under: Miscellaneous — gulfaam @ 11:37 am

Dil ka kya hai wo to chaahega musalsal milna
wo sitamgar bhi magar soche kisi pal milna

vaa’n nahi’n waqt to hum bhi hain adeem-ul-fursat
uss se kya kahiye jo har roz kahe kal milna

ishq ki raah ke musaafir ka muqaddar maalum
dasht-e-ummeed mein andeshe ka baadal milna

daaman-e-shab ko agar chaak bhi kar lein to kahaan
noor mein dooba hua subah ka aanchal milna.

 

Zukham muskaratay hain ab bhi teri aahat par May 22, 2008

Filed under: Miscellaneous — gulfaam @ 11:34 am

“Zukham muskaratay hain ab bhi teri aahat par
dard bhool jatay hain ab bhi tairi aahat par”

“Shubnami sitaroo main phool khilnay lagtay hain
chand muskaratay hain ab bhi tairi aahat par”

“Umer kaat di liken buchpana nahi jata hain
hum diyay jalatay hain ab bhi tairi aahat par”

“Ghunteiya si bujti hain ruqs honay lagta hain
dard jugmagatay hain ab bhi tairi aahat par”

“Tairi yaad aaein tou neend jati rehti hain
khawab toot jatay hain ab bhi tairi aahat par”

“Jo situm karay tou sub qubool hain dil ko
hum khushi munatay hain ab bhi tairi aahat par”

“Ab bhi tairi aahat par chand muskarata hain
khawab gugnatay hain ab bhi tairi aahat par”

“Tairay hijjar main hum par ek azab tari hain
chonk chonk jatay hain ab bhi tairi aahat par”

“Dastakeen sajanay kay manzar nahi rahtay
rastay sajatay hain ab bhi tairi aahat par”

“Ab bhi tairi aahat par aas lout aati hain
hum diyay jalatay hain ab bhi tairi aahat par”

 

sare jahan se achcha hindostan hamara April 29, 2008

Filed under: Allama Iqbal — gulfaam @ 2:00 pm

sare jahan se achcha hindostan hamara
ham bulbulen hain us ki vuh gulsitan hamara

ġhurbat men hon agar ham, rahta hai dil vatan men
samjho vuhin hamen bhi dil ho jahan hamara

parbat vuh sab se uncha, hamsayah asman ka
vuh santari hamara, vuh pasban hamara

godi men khelti hain us ki hazaron nadiyan
gulshan hai jin ke dam se rashk-e janan hamara

ay ab-rud-e ganga! vuh din hain yad tujh ko?
utara tire kinare jab karavan hamara

mażhab nahin sikhata apas men bair rakhna
hindi hain ham, vatan hai hindostan hamara

yunan-o-misr-o-ruma sab mit gaye jahan se
ab tak magar hai baqi nam-o-nishan hamara

kuchh bat hai kih hasti mitti nahin hamari
sadiyon raha hai dushman daur-e zaman hamara

iqbal! koi mahram apna nahin jahan men
maalum kya kisi ko dard-e nihan hamara!

 

Har phool hy kaanty ki mahabbat me giruftar April 24, 2008

Filed under: Visitor's Post — gulfaam @ 6:06 am

Har phool hy kaanty ki mahabbat me giruftar…..

Ik dard hy or uska madava bhai nahi hy

Posted by – Rose

 

Tmhy khabar bhi na hui, k koi toot gaya….. April 24, 2008

Filed under: Visitor's Post — gulfaam @ 6:06 am

Tmhy khabar bhi na hui,k koi toot gaya…..

Muhabbaton ko bohut paidaar krty huy…..

Posted By – Rose

 

dekha to kisi aur ke pairo pe khada tha. April 24, 2008

Filed under: Visitor's Post — gulfaam @ 6:04 am

ek shaks ke qad jiska hamse bhi bada tha,
dekha to kisi aur ke pairo pe khada tha.

akhbaar me tufaan ke aane ki khabar thi,
har sakhs badi der se sajde me pada tha.

afsos ke usne bhi muje gair hi samja,
muddaton jiske liye mai apno se lada tha,

becha tha jisko maine gareebi ke dino me
suna hai us makan me khazana bhi gada tha.

Tariq Sabri

 

mosam tha beqarar tumhe sochte rahay April 24, 2008

Filed under: Visitor's Post — gulfaam @ 6:02 am

mosam tha beqarar tumhe sochte rahay
kal raat bar bar tumhain sochte rahay
barish hui tu ghar k dariche se lag k ham
chup chaap sogawar tumhain sochte rahay..!

Posted by – fareha

 

kisi ka bhi ho sar, kadmon me sar achcha nahi lagta April 24, 2008

Filed under: Javed Akhtar — gulfaam @ 6:01 am

idhar jate hain sab jaan udhar achcha nahi lagta
mujhe pamaal raston ka safar achcha nahi lagta
mujhe dushman se khuddari ki ek ummeed rehti hai
kisi ka bhi ho sar ,kadmon me sar achcha nahi lagta

Javed Akhtar

Posted By – mujtaba

 

dukhti ragon ko apni bahut jante the log February 28, 2008

Filed under: Visitor's Post — gulfaam @ 11:22 am

dukhti ragon ko apni bahut jante the log,
sach bolta tha main to bura mante the log.
andhi ko katne ki duwa kisko yad thi,
kahne ko bahut chadre to tante the log
kaisa zawal hai ki apni bhi kadr hai,
pahle bado bado ko nahi mante the log.

Posted By :- Tariq Sabri 

 

Ai gham-e-dil kya kaoon, ai wahshat-e-dil kya karoon February 28, 2008

Filed under: Visitor's Post — gulfaam @ 11:01 am

Shahar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroon
Jagmagati jaagati sarko peh aawara phrioon
Ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phiroon
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon

Jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
Raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
Maire seene par magar chalati hui shamsheer si
Ai gham-e-dil kya karoon ai wahshat-e-dil kya karoon

Yeh roophali chhaon yeh aakash par taaron ka jaal
Jaise soofi ka tasavvur jaise aashique ka khayaal
Aah lekin kaun jaane kaun samjhe jee ka haal
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon

Raat hans hans kar yeh kahati hai keh maikhane mein chal
Phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane mein chal
Yeh nahin mumkin to phir ai dost veerane mein chal
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon

Har taraf hai bikhari hui, Ranginiyaan, raanaiyaan
Har qadam par isharaten leti hui angraiyaan
Barh rahi hai god phailai hue ruswaian
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon

Raste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahin
Laut kar vaapas chala jaaoon, meri fitrat nahin
Aur koi hamnawa mil jai yeh qismat nahin
Ai gham-e-dil kya karoon ,ai wahshat-e-dil kya karoon

Ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
Jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
Jaise muflis ki jawani jaise bewah ka shabaab
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon

Muflisi aur yeh mazahir hain nazar ke samane
Saikaron Changez-O-Naadir hain nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
Ai gham-e-dil kya karoon ,ai wahshat-e-dil kya karoon

Barh ke is indarsabha ka saz-o-saman phoonk doon
Is ka gulshan phoonk doon us ka shabistan phoonk doon
Takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan Phoonk doon
Ai gham-e-dil kya kaoon, ai wahshat-e-dil kya karoon.

Posted By – Nomi