tAaroof k lie apne bus yahi aik baat kaafi hai
woh rusta chhor dete hain jo rusta aam hota hai
_______________________________________
ik tarz e taghaful hai so woh tum ko mubarak ho
ik arz e tamanna hai so woh hum kartey rahain gay
_______________________________________
khudara dil k zakhmon per kahin marham na rakh dayna,
inhi zakhmon say roshan ki hay main nay zindagi apni !
———————————-
Khataein daikhta b hai wafain kum nai krta,
samjh kuch nai atta k wo shaqz itna meherban kiun hai??.
_______________________________________
Ma’r bhee jaon tu kahan laug bhula hee dain gai…
Lafz mairay, mairay honay kee gawahee dain gai…
_______________________________________
Dil Gumsum, Zuban Khamosh Yeh Aankhen Aj Num Kyun Hai
Jinhe Kabhi Paya Hi Na Tha Unhe Aaj Khone Ka Gum Kyun Hai
_______________________________________
zebt-a-gum koi asan kam nahe hai FARAZ
aag hoty hain wo anso jo piay jaty hain
_______________________________________
Adab ki baat hai warna aye Doost zara sochoo too
Jo Shakhas suntaa hoo woo bool bhi saktaa hai…..
_______________________________________
aik naam kia likha tera sahil ki rait perr
phir umer bhar samndar say meri dushmani rahi
_______________________________________
aap berham hi sahi baat to karlain hum se
kuch na kehnay se muhabbat ka gumaan hota hai
_______________________________________
tum takullluf ko bhi ikhlaas samajhte ho Faraz
dost hota nahi hur haath milane waala
_______________________________________
Teri Kam Goi Kay Charchey Hein Zamanay Bhar Main …
Kis Say Seekha Hay You Baaton Ki Wazahat Karna …
_______________________________________
AANKHEN KHULI TO JAAG UTHEEN HASRATEIN TAMAM
LO UNKO B KHODIYA JINHEN PAYA THA KHUWAB MAIN
_______________________________________
Lipta Hua Kohar Mein Jaisy Khizaa’n Ka Chaand
Mailey Libaas Mein Bhi Woh Pyara Bohat Laga
_______________________________________
Main uss ko dekta rahta tha hairato se Faraz
Ye zindagi se taaruff ki ibtedaa thi meri
_______________________________________
Bana kar gariboo ka hum bhes galib
Tamasha-e-ahel-e-karam dekhte hain.
_______________________________________
Jin se milkar zindagi se pyar hojaye wo log
Aapne shayad na dekhe hon magar aise bhi hain
_______________________________________
or kuch nahi hota to bhari barish main
tujh se bichhrey huye raston pe safar karti hun
_______________________________________
Kiya maza daitii hay bijlee ki chamak mujhko Ali
Mujh say Liptay hain meray naam say darnay walay
_______________________________________
haath uljhay huye resham mai phansa baithey hain
ab bata kaun se dhagay ko juda kis se karain
_______________________________________
Nahi hai taj – shahi ki zarooorut
meri maa ka mujhe saaya bohut hai
_______________________________________
Lipta Hua Kohar Mein Jaisy Khizaa’n Ka Chaand
Mailey Libaas Mein Bhi Woh Pyara Bohat Laga
_______________________________________
Tere chehre se nahi milti kisi ki surat,
Hum jahaan me teri tasweer liye phirte hain.
_______________________________________
Yeh aur baat hay ke TARUF na ho saka
HUM Zindagi ke sath bohat door tak gaye…!!!
_______________________________________
ujalay apni yadon k humaray saath rehnay do
na janay kis gali mai zindagi ki shaam hojaye.
_______________________________________
Ae khuda ret ke sehra ko samandar kar de,
ya chalakti hui aankhon ko bhi pathar kar de,
Aur kooch bhi mujhe darkaar nahi hai lekin,
meri chaadar mere pairon ke barabar kar de.
______________________________________
Jalti Hai Meri Soch Ke Sho’loN Main Zindagi
Aur Zabt YouN Kiya Hai Ke PalkaiN Bhi Ter Nahi
______________________________________
Nasha Pila kay Girna to Sb ko Ata Hai
Maza to Tab Hai k girton ko Tham ley Saqi
______________________________________
tu badalta hai tu baysakhta meree aankhien
meray haathoon ki lakeeron say oolagh jatee hain
———————————
ainey kee aankh bhee kuch kum na thee mere liye
jaaney ub kya kya dikhaey ga tumhara dekhna
———————————
Iss shart pe kheloon gi piya pyar ki baazi
Jeetoon tu tujhe paoon, haroon tu piya teri
———————————
khizan k hath lamha-e-jamal kasay a gaya
ye aj phir singhar ka khayal kasay a gaya
apni hansi ko sun k ik bar tu main bhi chownk uthi
ye mujh main dukh chupanay ka kamal kasay a gaya
———————————
Woh eik rishta-e-be-naam bhee nahi lekin
Mein ab bhee us ke isharon pe sar jhukaoon gi
Jawaz dhoond raha tha nayi muhabbat ka
Woh keh raha tha ke mein us ko bhool jaoon gi
———————————
Shayad kissi lakeer mein likha ho mera naam
Ai dost apna haath mujhay dekhnay to day
———————————
dukhti ragon ko apni bahut jante the log,
sach bolta tha main to to bura mante the log.
andhi ko katne ki duwa kisko yad thi,
kahne ko bahut chadre to tante the log
kaisa zawal hai ki apni bhi kadr hai,
pahle bado bado ko nahi mante the log.
Shahar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroon
Jagmagati jaagati sarko peh aawara phrioon
Ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phiroon
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
Raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
Maire seene par magar chalati hui shamsheer si
Ai gham-e-dil kya karoon ai wahshat-e-dil kya karoon
Yeh roophali chhaon yeh aakash par taaron ka jaal
Jaise soofi ka tasavvur jaise aashique ka khayaal
Aah lekin kaun jaane kaun samjhe jee ka haal
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Raat hans hans kar yeh kahati hai keh maikhane mein chal
Phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane mein chalYeh nahin mumkin to phir ai dost veerane mein chal
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Har taraf hai bikhari hui, Ranginiyaan, raanaiyaan
Har qadam par isharaten leti hui angraiyaan
Barh rahi hai god phailai hue ruswaian
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Raste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahin
Laut kar vaapas chala jaaoon, meri fitrat nahin
Aur koi hamnawa mil jai yeh qismat nahin
Ai gham-e-dil kya karoon ,ai wahshat-e-dil kya karoon
Ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
Jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
Jaise muflis ki jawani jaise bewah ka shabaab
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Muflisi aur yeh mazahir hain nazar ke samane
Saikaron Changez-O-Naadir hain nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
Ai gham-e-dil kya karoon ,ai wahshat-e-dil kya karoon
Barh ke is indarsabha ka saz-o-saman phoonk doon
Is ka gulshan phoonk doon us ka shabistan phoonk doon
Takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan Phoonk doon
Ai gham-e-dil kya kaoon, ai wahshat-e-dil kya karoon.
for more shayari plz visite here
http://www.forumpakistan.com
idhar jate hain sab jaan udhar achcha nahi lagta
mujhe pamaal raston ka safar achcha nahi lagta
mujhe dushman se khuddari ki ek ummeed rehti hai
kisi ka bhi ho sar ,kadmon me sar achcha nahi lagta
javed akhter
Great Collection
Nice
bohat khooob !!
mosam tha beqarar tumhe sochte rahay
kal raat bar bar tumhain sochte rahay
barish hui tu ghar k dariche se lag k ham
chup chaap sogawar tumhain sochte rahay..!
Tmhy khabar bhi na hui,k koi toot gaya…..Muhabbaton ko bohut paidaar krty huy…..
Har phool hy kaanty ki mahabbat me giruftar…..Ik dard hy or uska madava bhai nahi hy
superb!!!
dunya ma hum rahe kai di prrr??? kuch is tarah
dushman k ghar ma jaisy koi mehman rahy
Yunhi doosh per sanbhalay
ghani zulf kay dooshalay
wohi saanwli si rangat
wohi nain neend walay
wohi man pasand qamat
wohi khushnuma sarapa
kisi aur hi safar main
sar-e-rah mil gai thi
tumhain aur kya bataon
woh teri tarah koi thi
mujhay dil say us nay chaha
usay jaan say main nay pooja
isi humrahi main aakhir
kahin aagaya dooraha
phir ek aisi shaam aai
kay woh shaam aakhri thi
koi zalzala sa aaya
koi barq si giri thi
ajab aandhiyaan chalin phir
kay bikhar gayay dil o jaan
na koi gul e wafa tha
na chiraagh-e-ahd o paimaan
woh jahaz utar gaya tha
yeh jahaz utar raha hai
teri aankh main hai aansoo
mera dil bikhar raha hai
to jahan mujhay mili hai
woh yahin juda hui thi
tujhay aur kya bataon
WOH TERI TARAH KOI THI
im da bgst fan og faraz!!
he iz awsom poet n hiz poetry iz khatm
a request 2 u 2 pray 4 faraz as he is in hsptl n iz not well!
i hav mny colection f faraz
like……
>>faqt is darr say soona chor diya faraz
k wo khawabon may bhi bichra tu marr jain gay
khairat mai mili khushi mujhay acchi nahin lagti faraz..
main apnay dhukho main rehta hu nawabao ki tera….
phir kisi raah guzar par shaayad,
kabhi hum mil sakein, magar shaayad,
jo bhi bichhdey hain kab miley hain ‘Faraz’,
phir bhi tu intzaar kar shaayad.
(a tribute to legendry Ahmad Faraz saahab)
pathar bhi tamasha
shesha bhi tamasha
hum bole tamasha
dil tute tamasha
kehta hai mukadar sambhal ke sikandar
tu bhi ek tamasha .mai bhi ek tamasha
is dil ke na sun yeh daga deta hai
koi dil se sunaye,kaise na sunu
aab usay roz na sochon to badan toot ta hai faraz.
ek umar ho gai uski yaad ka nasha kartay kartay.
meray kehnay se na paband e wafa ho jana.
dil nay mana to kisi waqt juda ho jana.
itna pyar na kar kisi say a faraz.
tum nay daikha nahi insan ka khuda ho jana.
Ab us k shehar main rahen ya kooch kar jain
FARAZ aao sitare safar k dekhte hain
aab usay roz na sochon to badan toot ta hai faraz.
ek umar ho gai uski yaad ka nasha kartay kartay.
kuch sawan k jhonke, kuch yaadon ki dhup
kuch ashkon ki rimjhim , usme tera roop
kuch din ki ujali safedi, kuch chaandni raat ka jaadu
har rang leke nazaaron ka teri maang saja dun
kuch chaanv ghani darakhton ki , kuch dhool tumhaare raaston ki
sar pe utha laayenge , maathe pe saja laayenge
ek baar izaazat de do hum chupke se mar jaayenge
plz tell me who is the poet of this ghazal
Ae khuda ret ke sehra ko samandar kar de,
ya chalakti hui aankhon ko bhi pathar kar de,
Aur kooch bhi mujhe darkaar nahi hai lekin,
meri chaadar mere pairon ke barabar kar de
i will be very think ful
abida