Ku-ba-ku phail gayee baat shanaasaai ki
uss ne khushbu ki tarah meri pazeeraai ki
kaise keh doon ki mujhe chhod diya hai uss ne
baat to sach hai magar baat hai rusvaai ki
wo kahi’n bhi gayaa lauta to mere paas aaya
bas yahi baat hai achchi mere harajaai ki
tera pehlu tere dil ki tarah abaad rahe
tujh pe guzre na qayaamat shab-e-tanhaai ki
uss ne jalti huee peshaani pe jo haath rakha
rooh tak aa gayee taaseer maseehaai ki.