Collection of Ghazal

Just another WordPress.com weblog

bismil ho to qaatil ko duaa kyuu.N nahii.n dete September 25, 2007

Filed under: Ahmad Faraz — gulfaam @ 8:00 am

Khamosh ho kyo.n daad-e-jafaa kyuu.N nahii.n dete
bismil ho to qaatil ko duaa kyuu.N nahii.n dete

vahashat kaa sabab ruuzan-e-zindaa.N to nahii.n hai
mahar-o-maah-o-anjum ko bujhaa kyuu.N nahii.n dete

ik ye bhii to andaaz-e-ilaaj-e-Gam-e-jaa.N hai
ai chaaraagaro dard ba.Dhaa kyuu.N nahii.n dete

munsif ho agar tum to kab insaaf karoge
mujarim hai agar ham to sazaa kyuu.N nahii.n dete

rahazan ho to haazir hai mataa-e-dil-o-jaa.N bhii
rahabar ho to manzil kaa pataa kyuu.N nahii.n dete

kyaa biit ga_ii ab ke ‘Faraz’ ahal-e-chaman par
yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kyuu.N nahii.n dete

 

in barishoon say dosti achi nahi faraaz September 25, 2007

Filed under: Ahmad Faraz — gulfaam @ 7:57 am

in barishoon say dosti achi nahi faraaz
kacha tera makaan hi kuch toh khiyaal ker

 

jo chal sako to koi aise chaal chal jana September 25, 2007

Filed under: Ahmad Faraz — gulfaam @ 7:54 am

jo chal sako to koi aise chaal chal jana
mujhay goman bhi na hoo aur tum badal jana

yeh shoulagi ho badan ki too kia kiya jaye
so lazmee tha tere perhan kaa jhal jana

tumheen karo koi darman yeh waqt aa poncha
kay aab to chara garoon ko bhi hath mal jana

abhi abhi to judahi ki cham aaye thi
humain ajeeb laga zindagi ka dhall jana

saji sajaye hoi maut zindagi to nahin
moorekhoon nay mokaber ko bhi mahal jana

yeh kiya kay to bhi issi sahat-e-zawal main hai
kay jiss tara say sabhi soorajon ko dhall jana

har eik ishq kay bad aur uss kay ishq kay bad
FARAZ itna bhi asan na tha sambhal jana

 

Ham mohabbat mein bhi toheed k qaa-el hain Faraz September 25, 2007

Filed under: Ahmad Faraz — gulfaam @ 7:51 am

Ham mohabbat mein bhi toheed k qaa-el hain Faraz
Aik hee shakhs ko mehboob bana rakha hai

 

gul_farosh aaj bahut jamaa hai.n gul_zaar ke biich September 25, 2007

Filed under: Ahmad Faraz — gulfaam @ 7:50 am

paich rakhate ho bahut saaj-o-dastaar ke biich
mai.n ne sar girate hue dekhe hai.n baazaar ke biich

baaG_baano.n ko ajab ranj se takate hai.n gulaab
gul_farosh aaj bahut jamaa hai.n gul_zaar ke biich

kaj adaao.n kii inaayat hai ki ham se ushshaaq
kabhii diivaar ke piichhe kabhii diivaar ke biich

tum ho naa_Khush to yahaa.N kaun hai Khush phir bhi ‘Faraz’
log rahate hai.n isii shahar-e-dil-e-aazaar ke biich

 

tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai May 11, 2007

Filed under: Ahmad Faraz — gulfaam @ 2:11 pm

tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai
ke ham ko teraa nahii.n intazaar apanaa hai

mile ko_ii bhii teraa zikr chhe.D dete hai.n
ke jaise saaraa jahaa.N raaz_daar apanaa hai

vo duur ho to bajaa tark-e-dostii kaa Khayaal
vo saamane ho to kab iKhtiyaar apanaa hai

zamaane bhar ke dukho.n ko lagaa liyaa dil se
is aasare pe ke ik Gam_gusaar apanaa hai

“Faraz” raahat-e-jaa.N bhii vahii hai kyaa kiije
vo jis ke haath se siinaa_fiGaar apanaa hai …!!

 

Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain May 10, 2007

Filed under: Ahmad Faraz — gulfaam @ 9:11 am

Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke shehar mein kuch din thehar ke dekhtay hain

Suna hai rabt hai us ko kharaab haloon se
So apne aap ko barbaad kar ke dekhtay hain

Suna hai dard ki ghaahak hai chashm-e-naaz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ko bhi hai shair-o-shaeri se shaguf
So hum bhi moujazzay apne hunar ke dekhtay hain

Suna hai bolay tu batoon se phool jhartay hain
Yeh baat hai tu chalo baat kar ke dekhtay hain

Suna hai raat ussay chaand takta rehta hai
Sitaaray baam-e-falak se uttar ke dekhtay hain

Suna hai din ko ussay titleyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhtay hain

Suna hai hashar hain us ki ghazaal si ankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain

Suna hai raat se barh kar hain kaaklain us ki
Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ki seyaah chashmagi qayaamat hai
So us ki surma farosh aah bhar ke dekhtay hain

Suna hai us ke laboon se gulaab jaltay hain
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain

suna hai aaenaa tamsaal hai jabeen us ki
Jo saada dil hain ussay ban sanwar ke dekhtay hain

Suna hai jab se hamaayal hain us ki gardan mein
Mizaaj aur hi laalo-gohar ke dekhtay hain

Suna hai chashm-e-tassavur se dasht-e-imkaan mein
Pallang zaweyey us ki kamar ke dekhtay hain

Suna hai us ke badan ki taarash aisi hai
Ke phool apni qubaayain qattar ke dekhtay hain

Bas ek nigaah se lut’ta hai qaafila dil ka
So reharwaan-e-tamanna bhi dar ke dekhtay hain

Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht
Makeen idhar ke bhi jalway udhar ke bhi dekhtay hain

Rukay tu gardishain us ka tawwaaf karti hain
Chalay tu us ko zamaany thehar ke dekhtay hain

 

ab ke ham bichhade to shaayad kabhii Khvaabon mein milen May 10, 2007

Filed under: Ahmad Faraz — gulfaam @ 9:02 am

ab ke ham bichhade to shaayad kabhii Khvaabon mein milen
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon mein milen

Dhuundh ujade hue logon mein vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon mein milen

tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
donon insaan hain to kyoun itane hijaabon mein milen

Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar mein shaamil kar lo
nashaa badataa hai sharabein jo sharaabon mein milen

aaj ham daar pe khenche gaye jin baaton par
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabon mein milen

ab na vo main huun, na tu hai, na vo maazii hai `Faraaz’,
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon mein milen