Collection of Ghazal

Just another WordPress.com weblog

mohobbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumaar karna September 25, 2007

Filed under: Miscellaneous — gulfaam @ 7:56 am

mohobbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumaar karna
jo meray hissay main aayee hain wo azyatain bhi shumaar karna

jalaye rakhongi subah tak main tumharay raston pe apni aankhain
agar kahin zabt toot jaye to baarishain bhi shumaar karna

jo harf loh e wafa pe likhay huay hain unko bhi daikh lena
jo raayegaan hogai hain wo ibaaratain bhi shumaar karna

ye sardiyon ka udas mausam k darkanain sard hogai hain
jab inki yukh bastagi parakhna tamaazatain bhi shumaar karna

tum apni mujbooriyon kay qissay zaroor likhna wazahaton say
jo meri aankhon main jal bujhi hain wo khwahishain bhi shumaar karna

 

4 Responses to “mohobbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumaar karna”

  1. Sulaiman Says:

    this is dears,,not by Faraz but by Noshi Giliani

  2. saba Says:

    hiKhamosh ho kyo.n daad-e-jafaa kyuu.N nahii.n dete
    bismil ho to qaatil ko duaa kyuu.N nahii.n dete

    vahashat kaa sabab ruuzan-e-zindaa.N to nahii.n hai
    mahar-o-maah-o-anjum ko bujhaa kyuu.N nahii.n dete

    ik ye bhii to andaaz-e-ilaaj-e-Gam-e-jaa.N hai
    ai chaaraagaro dard ba.Dhaa kyuu.N nahii.n dete

    munsif ho agar tum to kab insaaf karoge
    mujarim hai agar ham to sazaa kyuu.N nahii.n dete

    rahazan ho to haazir hai mataa-e-dil-o-jaa.N bhii
    rahabar ho to manzil kaa pataa kyuu.N nahii.n dete

    kyaa biit ga_ii ab ke ‘Faraz’ ahal-e-chaman par
    yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kyuu.N nahii.n dete

    Comments (0)

    in barishoon say dosti achi nahi faraaz September 25, 2007
    Filed under: Ahmad Faraz — gulfaam @ 7:57 am

    in barishoon say dosti achi nahi faraaz
    kacha tera makaan hi kuch toh khiyaal ker

  3. bilal Says:

    yeh ahmad sahab ki bohat hi khubsurat ghazal hai jo dil ko cho lenay ki khasiat rakhti hai.
    ahmad faraz is one of the great poet aspecially for lovers.
    ok bye..
    bilal khalid baloch T

  4. aisha Says:

    bohaaaaaaaaaat khoobsurat hai nazam…main ne faraz ko bohaaat perha hai ye naza pehli baar nazer se guzre,,, ager ye faraz sahib ke nahi to plz remove it,,,,but i love faraz greatest poet i love ahmad faraz sahib.
    wo zindagi


Leave a Reply